Sheikh Hamdan Awards Golden Visa to Dubai’s Best Educators
Is saal World Teachers’ Day ke moqe par, Sheikh Hamdan bin Mohammed bin Rashid Al Maktoum ne Dubai ke behtareen educators ko Golden Visa se nawaza. Ye qadam un ustad aur taleemi mahir afraad ki koshishon ko sarahne ke liye uthaya gaya, jinhu ne taleem aur muashray ki behtari mein numaya kirdar ada kiya.
“Teachers aur educators hamaray mustaqbil ko roshan karte hain, ye hamaray students ko inspire karte hain, rehnumai dete hain, aur unhein kamyabi ke liye skills aur self-confidence faraham karte hain” . – Sheikh Hamdan bin Mohammed bin Rashid Al Maktoum
Dubai hukoomat ne teaching ko “insaniyat ka azeem tareen pesha” qarar diya , ek aisa pesha jo zindagiyan badalta hai. Isi tasleem aur qadr ke izhar ke taur par, Dubai ne Golden Visa program k zariye ab private school teachers ko di nayi pehchaan taake unki khidmaton ko sirf saraha na jaye, balkay unhein lambe arsay tak Dubai ka hissa banne ka moqa diya jaye.
Dubai Golden Visa for Private Teachers
Pehle marhale mein 435 applications mili, jismein se 223 teachers ko choose kiya gaya. In mein school aur university ke teachers, social workers, aur librarians bhi shamil hain. Dusre phase ke liye applications 15 October se 15 December 2025 tak khuli rahengi.
Ye initiative un ustadzon ke liye hai jinhon ne private educational sector mein numaya kirdar ada kiya hai, chahe woh school, college ya university level par ho. Jo apni skills, tajurbe aur dedication se taleemi nizaam ko behtar banane mein aham kirdar ada karte aaye hain. Ye sirf ek visa nahi, balkay ek “taleemi izzat ka naya darja” hai
Benefits & Eligibility Criteria For Section
Ab aap soch rahe honge ke is 10 saal ke Golden Visa mein kya faide shamil hain aur kon se teachers is ke liye eligible hain. Ye visa teachers ko lambi muddat tak rehnay ka moqa, family sponsorship aur career growth ke behtareen chances deta hai. Is ke zariye travel aur renewal ka amal asaan hota hai aur job stability bhi barhti hai.
Un afraad ko khaas tor par saraha jaega jinhein qaumi ya bayn-ul-aqwami awards mil chuke hain, mashhoor research journals mein unki tehqeeq chap chuki hai, ya jin logon ne apne idaron aur communities mein numaya asar dikhaya hoga.
Eligibility ke liye zaroori hai ke ustad ke paas numaya qualifications, ache academic results, aur students aur parents ka positive feedback ho, sath hi unki taleem aur community mein khidmat bhi qabil-e-tareef ho. Mazeed maloomat aur apply karne ke liye Dubai ke official taleemi portal par tafseelaat check ki ja sakti hain.
Merit Ka Ehtiraam-Taleem Mein Kamyabi Ka Naya Safar
Dubai ka ye qadam un tamam teachers ke liye ek misaal hai jo apni mehnat aur lagan se taleem ka mayar behtar bana rahe hain. Golden Visa sirf aik document nahi balkay unke liye ek izzat aur mustaqil mustaqbil ki pehchan hai. Ye un ustaadon ka inaam hai jinhu ne apni mehnat aur kirdar se taleem ka mayar buland kiya.