Istanbul mein Pakistan aur Afghan Taliban ke darmiyan chalne walay teesray din ke muzakarat mushkilat ka shikar ho gaye hain. Zaraye ke mutabiq, Pakistan ki taraf se pesh ki gayi logical aur rational demands bilkul jaiz aur danishmandana hain, lekin Afghan Taliban ka waft in tamam baaton ko poori tarah se tasleem karne par tayyar nahi.
Zaraye Ke Kehne Ke Mutabiq, Meezban Mumalik Bhi Yeh Tasleem Karte Hain Ke Pakistan Ke Mutalibat Theek Aur Qanooni Hain. Afghan Taliban ka waft ne bhi in taqazaat ko qabool karna durust hoga, magar un par Kabul hukoomat ka asar-o-raqbat barqarar hai. Unhein aksar Kabul se hidaayat mil rahi hain jinke mutabiq woh aage barh rahe hain.
Pakistani waft ne baar baar wazeh kiya hai ke in mutalibat ko maan lena tamam logo ke liye behtari ka sabab banega, lekin Kabul se koi hosla afza jawabi rawayya samne nahi aaya, jis se muzakarat mein rukawat paida hony ka khadshah hai. Zaraye ka kehna hai ke lagta hai Kabul mein kuch anasir kisi aur ajende par kaam kar rahe hain, jabke Pakistan ka mauqif mantaqi, mazboot aur aman ke liye zaroori samjha ja raha hai.
Teesray din ke dauran, dono taraf ke darmiyan taqreeban 18 ghanton tak muzakarat jari rahe, jismein Afghan waft ne kai dafa Pakistan ke TTP aur dehshatgardi ke khilaaf qate aur faisla kun iqdamat ke mutalibat ko jaiz qarar diya. Magar Kabul se milne wali ghair mantaqi aur ghair jaiz hidaayaat ne in baaton ko anjaam tak pohanchne nahi diya.
Ab bhi Pakistan aur meezban mulk yeh koshish kar rahe hain ke danishmandi aur guftagu ke zariye in masail ko hal kiya jaye. Zaraye ke mutabiq, yeh muzakarat ab apne aakhri marahil mein dakhil ho rahe hain, aur Taliban ke inkar ke bawajood, Pakistan ki taraf se akhri koshishen jaari hain ke masla mantaq aur mukalme ke zariye suljha liya jaye.

