Pakistan Medical and Dental Council (PMDC) ne aik dafa phir medical aur dental students ke liye taleemi qawaid mein aham tabdiliyan kar di hain. Naye faislay ke mutabiq, MBBS aur BDS students ke liye minimum passing marks 50% aur attendance requirement 75% muqarar kar di gayi hai. Yeh naya PMDC notification 2025 Pakistan ke medical education system mein aik aham qadam samjha ja raha hai. Maahireen ka kehna hai ke is policy ka maqsad medical studies ka standard behtar banana aur future doctors ki training ko international standards ke mutabiq banana hai. PMDC ke mutabiq, yeh policy Pakistan ke tamaam medical aur dental colleges par laagu hogi, jahan MBBS aur BDS programs chal rahe hain. Is faislay se medical universities, students aur faculty members dono par barabar asraat par sakte hain.
Yeh tabdili us waqt ki gayi hai jab chand haftay pehle hi Pakistan Medical and Dental Council (PMDC) ne academic criteria ko sakht banate hue 70% passing marks aur 90% attendance ka naya standard laagu kiya tha. Magar students aur taleemi idaron ke feedback ke baad council ne dobara ghoor o fikr kar ke apna pehla faisla mansookh kar diya hai.
Naye PMDC notification 2025 ke mutabiq, 2024–25 session ke liye dobara purana nizaam laagu hoga, jahan MBBS aur BDS students ko 50% marks hasil karna zaroori hoga, jabke 75% attendance par imtihan mein shamil hone ki ijazat di jayegi. PMDC ne is silsile mein tamam medical universities aur colleges in Pakistan ko hidayat jaari kar di hai ke woh foran apne darsi nizaam aur imtehani policies ko naye standards ke mutabiq update karen. Council ke mutabiq, yeh faisla students ke taleemi boojh ko kam karne aur unhein behtar learning environment faraham karne ke liye kiya gaya hai, taa ke woh apni medical education par behtar tor par tawajjo de saken.

