Former U.S. President Donald Trump has announced that Israel and Hamas have signed the first phase of a Gaza peace plan, marking a significant step toward a long-term ceasefire. The agreement includes the release of hostages and partial Israeli troop withdrawal. Key mediators—Qatar, Egypt, and Turkey—played a crucial role in finalizing the deal. Global leaders welcomed the ceasefire, calling it a new opportunity for peace in the Middle East. Public celebrations erupted in both Gaza and Israel, as humanitarian aid and rebuilding efforts are set to begin under this historic agreement.
Gaza Ceasefire Has Officially Taken Effect
Amreeki Saddar Donald Trump ne Gaza Peace Plan 2025 ka elaan karte hue social platform X par kaha ke Israeel aur Hamas ne Gaza aman moahide ke pehle marhalay par dastakhat kar diye hain. Trump ke mutabiq, sabhi yarghamali afraad jald riha kiye jaenge, jabke Israeel apni afwaj ko mutaayun hud tak wapas bulayega. Is qadam ko unhon ne mustahkam aur daimi aman ke liye Trump-brokered Gaza ceasefire ka pehla marhala qarar diya.
Unka kehna tha, ye Arab aur Muslim dunya, Israeel, aur poore Middle East ke liye aik azeem din hai. Trump Gaza peace deal ka zikr karte hue unhon ne Qatar, Egypt aur Turkey ke kirdar ko bhi saraha, jinhu ne is historic aur aham moahide ko mumkin banaya.
Do saal se jaari Gaza mai zulm o barbariat ke baad, Israel Hamas peace agreement ne akhirkaar aman ka rasta khol diya hai. Ye moahida sirf Israel aur Hamas ke darmiyan nahi, balkay poore Middle East ke liye aik naya moqa samjha ja raha hai. U.S. President Donald Trump ne apne Gaza Peace Plan ke pehle marhale ka elaan karte hue kaha ke dono taraf is par razamandi ka izhar kar chuki hain. Yeh moahida ek aisi umeed ban kar samne aaya hai jahan jang se tabah ilaqon mein ab aman ki kiran nazar aane lagi hai.
World Leaders Show Support For Gaza Peace Agreement
Duniya bhar ke rehnumaon ne Trump ke Gaza ceasefire plan ka khule dil se khair maqdam kiya. Aksar mulkon ne umeed ka izhar kiya ke ye qadam na sirf jang ke intehaai musalsal daur ko khatam karega, balkay Middle East peace efforts aur siyasi hal ki taraf raasta kholayga.
United Arab Emirates, Saudia Arab, Spain, Germany, France, China aur Russia ne bhi is ceasefire agreement ka khair maqdam kiya, sab ne yak-zabaani se ye paighaam diya ke daimi ceasefire aur siyasi guftagu hi asli hal hai.
Pakistan ke Wazir-e-Azam Shehbaz Sharif ne “Gaza aman moahide ko Middle East mein daimi aman ke liye aik tareekhi moqa” qarar diya hai. Unhon ne President Donald Trump ki diplomatic leadership ko saraha, jabke Qatar, Misr aur Turkey ke kirdar ko bhi khule alfaaz mein pasand kiya. Shehbaz Sharif ne Falasteeni awaam ke saath yaqjehti ka izhar kiya, aur Masjid Al Aqsa mein hone wali na-gawaar harkaton ki shadeed muzammat ki.
Public Reaction And Peace Celebration In Gaza & Israel
Gaza aur Israeel mein Trump Gaza agreement ke elaan ke baad khushi aur sukoon ke manazir dekhne ko mile. Gaza ke log, jo mahino se jang aur zulm ke asraat bardasht kar rahe thay, aansuon aur duaon ke saath sadkon par nikal aaye. Kahi logon ne Allah ka shukar ada kiya, jabke dusri taraf logon ne khushi mein fizaai naraay lagaye.
Israel mein Hostage Square par qaidiyon ke khandan ikathey hue. Unke chehron par umeed aur sukoon ke asaar numayan thay. Kai logon ne Trump ko peace broker qarar diya, aur unki aman koshishon ko khule alfaaz mein saraha.
A New Chapter for Gaza: Humanitarian Hope and Rebuilding
Do saal ke baad, tabahi aur barbadi ke is silsile mein, yeh Gaza peace agreement aik nayi umeed le kar aaya hai. Moahide ke mutabiq Gaza mein insani madad ke liye raaste foran khol diye jayenge taake ghiza, dawa aur zaroori sahulatain logon tak pohanch sakein. Yeh bhi tay hua hai ke jang se tabah shuda ilaqon mein nayi imaratein, school aur aspatal banane ke liye international agencies apna kirdar ada karengi.
Is peace plan mein dono taraf ke zakhmi afraad aur qaidiyon ke tabadlay ka silsila shuru hoga. Is samjhotay ko trust-building step ke taur par dekha ja raha hai, jahan dono taraf aman ke liye apne iraday aur zimmedari ka izhar kar rahy hain. Yeh pehla marhala sirf jang ka inteha nahi, balkay ek naye mustaqil aur insaf par mabni mustaqbil ki taraf qadam hai.
Duniya bhar ke log is umeed mein hain ke ye aman sirf chand dinon ka waada na ho, balkay un masoom zindagiyon ke liye sustainable peace in Gaza ka sabab banay jo jang ke saaye mein saans le rahe hain.